Ya Ali (a.s)

Ya Ali (a.s)

Sunday 28 August 2011

Shia mazhab kab aur kis waqt wajod mai aaya????


Answer: 
Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki hayat tayyaba mai hi shia mazhab wajood mai aiya. Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki waladat se ly kr 23 saal zamana behsat aur tehreek Islam ki taraqi ky duran aisy waqiyat aur isbab runama howay. jin ky natejy mai Khud Rasool (s.a.w.w) ky ashab mai 1 aisi jamat ka paida hona lazmi ho giya tha.

Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky zamany mai sub se phelay jo naam mashoor howa wo shia tha:
Hazrat Salman Farsi (r.a)
Hazrat Abu zar Ghafazi (r.a)
Hazrat Maqdad (r.a) aur Janab-e-Ammar bin Yasir (r.a)

is naam se mashor howay.

Zahar hai k Mola Ali a.s ne Islam ki khadmat aur taraqi ky lye jo namaiyan Khidmat anjam diye thay, is k paish nazar aur Muhammad (s.a.w.w) ky behad Muhabat ny fatri tor par Rasool (s.a.w.w.) ky ashab mai se 1 bari tadad ko in ki haqiqat aur fazilat ka shafita bana diya tha. Yehi waja thi ke unhon ne Hazrat Ali a.s ko pasand kiya aur an ky gird jama ho gay aur un ki pairvi karvi aur ata'at shoro kar di yahan tak ko baaz log is pasandeidgi ki waja se Ap (Mola Ali a.s) se bughz w hasad karne lagay aur Ap (a.s) ky dhusman ho gay.

In sub k elawa Shai'an-e-Ali (a.s) aur Shai'an-e-Ahlybait (a.s) ka naam Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki Ahadiths mai bohat ziyada nazar ata hai. Hazrat Jabar (r.a) sy marwi hai ko 1 din main Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky pass baitha howa tha ko door se Hazrat Ali (a.s) dekhai diye. Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ne farmaya: Qasam is zaat ki jis ke qaba-e-Qudrat mai mari jaan hai. Yeh shaks (Mola Ali a.s) aur is ke pairo kar awr dost Qayamat ky din bakhshay jaiyn gay.

Hazrat Ibn Abbas (r.a) kehtay hain ko Jab ye Aya Kareema

" إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أُوْلَئِكَ هُمْ خَيْرُ الْبَرِيَّةِ "

(Sura Bayyinah 98, Ayat # 7)

nazal hoi to Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ne Hazrat Ali (a.s) se farmaya: Yeh Ayat tmhari aur tmharay shiaon ki shan mai nazal hoi hai ke Qayamat ke din tum Khuda se Razi aur Khush hongay aur Khuda bhi tum se Razi aur Khush ho ga.
Lahaza Shia Rasool Akram (s.a.w.w) hi ky zamana mai paida howay aur in ki Rehlat ky baad Hazrat Ali (a.s) ki pairvi aur an ka atebah kartay rahay, isi waja sy shiaon ko Shain-e-Ali (a.s) kehtay hain.

References:
1) Hazar-ul-aalam-ul-Islami, Vol 1, Page 188
2) Dur-e-Mansoor, Vol 1, Page 973

No comments:

Post a Comment