Ya Ali (a.s)

Ya Ali (a.s)

Sunday 28 August 2011


 لا اله الا الله محمد الرسول الله

علي ولى الله وصى رسول الله و خليفته بلا فصل  



انا ابن علی الرضا



Shahadat-e-Imam ALI Raza(A.S) k ba'd aik martaba Ma'moon 
Baghdad aya or shikaar khelne nikla to usay (aur shahi qaaflay ko) 
dekh kar bachay bhagnay lagay lakin aik 11 saal ka bacha na 
bhaga.

Mamoon: Tum kyun na farar huay!?

Bacha: "Aye Mamoon! Jaga tung NA thi aur mein ne koi 
Jurm/gunah bhi na kia tha jis ki saza ka dar ho Lihaza apni jaga 
khara hun".
Mamoon: Naam kia hai?

Bacha: انا ابن علی الرضا

Imam Taqi-al-Jawwad(A.S)

Reference:

Bahaar-ul-Anwaar, jild 12, page 122

Wallpapers.













جو بغض آل محمد پہ مر گیا محسن ,

 کوئی بھی دور ہو بس وہ یزید ہوتا ہے , 

لبوں پہ ناد علی اور ہاتھ سینے پہ ,

 جو اس طرح سے گیا وہ شھید ہوتا ہے




Maqroz ke sath reayat



قال رَسُولُ اللّهِ - صلي الله عليه وآله - : مَنْ أنْظَرَ مُعْسِراً، كانَ لَهُ بِكُلِّ يَوْم صَدَقَةٌ.


«بحارالأنوار، ج 100، ص 151، ح 17»

رسول اکرم صلی اللہ علیہ و سلم نے فرمایا : جو شخص کسی 

مقروض کو موہلت دیتا ہے اسے ہر روز 

صدقہ دینے کا ثواب ملتا ہے
Rasol Akram (saww) ne farmaya :

"Jo shaklhs kisi maqroz ko mohlat deta hai usey har roz sadqa 

dene ka sawab milta hai "

Shia mazhab kab aur kis waqt wajod mai aaya????


Answer: 
Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki hayat tayyaba mai hi shia mazhab wajood mai aiya. Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki waladat se ly kr 23 saal zamana behsat aur tehreek Islam ki taraqi ky duran aisy waqiyat aur isbab runama howay. jin ky natejy mai Khud Rasool (s.a.w.w) ky ashab mai 1 aisi jamat ka paida hona lazmi ho giya tha.

Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky zamany mai sub se phelay jo naam mashoor howa wo shia tha:
Hazrat Salman Farsi (r.a)
Hazrat Abu zar Ghafazi (r.a)
Hazrat Maqdad (r.a) aur Janab-e-Ammar bin Yasir (r.a)

is naam se mashor howay.

Zahar hai k Mola Ali a.s ne Islam ki khadmat aur taraqi ky lye jo namaiyan Khidmat anjam diye thay, is k paish nazar aur Muhammad (s.a.w.w) ky behad Muhabat ny fatri tor par Rasool (s.a.w.w.) ky ashab mai se 1 bari tadad ko in ki haqiqat aur fazilat ka shafita bana diya tha. Yehi waja thi ke unhon ne Hazrat Ali a.s ko pasand kiya aur an ky gird jama ho gay aur un ki pairvi karvi aur ata'at shoro kar di yahan tak ko baaz log is pasandeidgi ki waja se Ap (Mola Ali a.s) se bughz w hasad karne lagay aur Ap (a.s) ky dhusman ho gay.

In sub k elawa Shai'an-e-Ali (a.s) aur Shai'an-e-Ahlybait (a.s) ka naam Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki Ahadiths mai bohat ziyada nazar ata hai. Hazrat Jabar (r.a) sy marwi hai ko 1 din main Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky pass baitha howa tha ko door se Hazrat Ali (a.s) dekhai diye. Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ne farmaya: Qasam is zaat ki jis ke qaba-e-Qudrat mai mari jaan hai. Yeh shaks (Mola Ali a.s) aur is ke pairo kar awr dost Qayamat ky din bakhshay jaiyn gay.

Hazrat Ibn Abbas (r.a) kehtay hain ko Jab ye Aya Kareema

" إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أُوْلَئِكَ هُمْ خَيْرُ الْبَرِيَّةِ "

(Sura Bayyinah 98, Ayat # 7)

nazal hoi to Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ne Hazrat Ali (a.s) se farmaya: Yeh Ayat tmhari aur tmharay shiaon ki shan mai nazal hoi hai ke Qayamat ke din tum Khuda se Razi aur Khush hongay aur Khuda bhi tum se Razi aur Khush ho ga.
Lahaza Shia Rasool Akram (s.a.w.w) hi ky zamana mai paida howay aur in ki Rehlat ky baad Hazrat Ali (a.s) ki pairvi aur an ka atebah kartay rahay, isi waja sy shiaon ko Shain-e-Ali (a.s) kehtay hain.

References:
1) Hazar-ul-aalam-ul-Islami, Vol 1, Page 188
2) Dur-e-Mansoor, Vol 1, Page 973

Hazrat Salman Farsi a.s


The Prophet (pbuh) is reported: Salman is a sea which cannot be exhausted and a treasure which never comes to end. Salman is from us, the family of the Prophet; he has been given wisdom, and is bestowed with reason.

Hazrat 'Ali (as) said: Salman was like Luqman, the Sage.

Imam Ja'far as-Sadiq a.s said that he was even better than Luqman. Imam Muhammad al-Baqir said that Salman was from the mutawassimin (those who know the inner character of the people)




A poet says:-

The devotion of Salman was his pedigree,
while there was no relationship between Noah and his son.


غزوہ خندق کے موقع پر خندق کی کھدائی کے موقع پر حضرت سلمان سب سے زیادہ سرگرم تھے ۔ اس پر مہاجرین نے کہا کہ " سلمان ہمارا ہے" انصار نے یہ سنا تو کہا "سلمان ہمارا ہے"۔ رسوہ اللہ صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم تک یہ بات پہنچی تو آپ صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم نے فرمایا " سلمان ہمارے اہل بیت میں سے ہے " اس لۓ حضرت سلمان کو مہاجرین یا انصار کے بجاۓ اہل بیت میں شمار کیا گيا

Bab-ul-Elm: IMAM ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S)

Bab-ul-Elm: IMAM ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S): IMAM ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S): "Tum tamam musalmaanon ko apna azeez samjho, jitnay boorhay hein unhein apne baap ki jaga samjho, jitnay b...

Bab-ul-Elm: Behtreen Akhlaaq

Bab-ul-Elm: Behtreen Akhlaaq: ‎"Ya-ALI! Teen(3) amal behtreen akhlaaq hain 1. Jo tum se rishta toray, tum us se (husn-e-salook karo aur) rishta joray rakho. 2. Jis...

Bab-ul-Elm: ہماری عید صرف ماتمِ حسین(ع) ہے۔ مولا سجاد(ع) ح...

Bab-ul-Elm:

ہماری عید صرف ماتمِ حسین(ع) ہے۔

مولا سجاد(ع)

ح...
: ہماری عید صرف ماتمِ حسین(ع) ہے۔ مولا سجاد(ع) حوالہ: بہار النوار جلد 6 Makhoolq to apni eid main masroof hai Magar Hamari Eid to Mat...


ہماری عید صرف ماتمِ حسین(ع) ہے۔


مولا سجاد(ع)

حوالہ: بہار النوار جلد 6
Makhoolq to apni eid main masroof hai 

Magar Hamari Eid to Matam e Hussain a.s hai.


Moula imam Sajjad a.s

Ref: Tafseer Gham, P:16



بے درد مسلمان تو خوشیاں منا رہے ہے۔۔۔۔۔۔۔

عرب و عجم کے مولا(ع) دنیا سے جا رہےََََََ۔۔۔۔۔۔!

Behtreen Akhlaaq


‎"Ya-ALI!

Teen(3) amal behtreen akhlaaq hain

1. Jo tum se rishta toray, tum us se (husn-e-salook karo aur) rishta joray rakho.

2. Jis ne tumhein mahroom rakha, tum usay ata karo.

3. Jis ne tumharay sath bura kia, tum usay Ma'af kar do"

[Rasool-e-Khuda Muhammad Mustafa(S.A.W.W)]